ghazalKuch Alfaaz

hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu ye sharafaten nahin be-ghharaz ise aap se koi kaam hai kahan ab duaon ki barkaten vo nasihaten vo hidayaten ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai vo dilon men aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai koi naghhma dhuup ke gaanv sa koi naghhma shaam ki chhanv sa zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhaw ki guftugu ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai na udas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

More from Bashir Badr

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e

Bashir Badr

6 likes

agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe

Bashir Badr

9 likes

chamak rahi hai paron men udaan ki KHushboo bula rahi hai bahut aasmaan ki KHushboo bhatk rahi hai puraani dulaaiyaan odhe haveliyon men mire khaandaan ki KHushboo suna ke koi kahaanii ha men sulaati thii duaon jaisi bade paan-daan ki KHushboo daba tha phool koi mez-posh ke neeche garaj rahi thii bahut pechvaan ki KHushboo ajab vaqaar tha sukhe sunhare baalon men udaasiyon ki chamak zard lawn ki KHushboo vo itr-daan sa lahjaa mire buzurgon ka rachi-basi hui urdu zabaan ki KHushboo ghazal ki shaakh pe ik phool khilne vaala hai badan se aane lagii zaafaraan ki KHushboo imaarton ki bulan dii pe koi mausam kya kahaan se aa gaii kacche makaan ki KHushboo gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahaadiyon se utarti azaan ki KHushboo

Bashir Badr

6 likes

kisi ki yaad men palken zaraa bhigo lete udaas raat ki tanhaaiyon men ro lete dukhon ka bojh akelaa nahin sambhalta hai kahii vo milta to us se lipt ke ro lete agar safar men hamaara bhi hum-safar hota badi khushi se unhi pattharon pe so lete tumhaari raah men shaakhon pe phool sookh ga.e kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete ye kya ki roz vahii chaandni ka bistar ho kabhi to dhoop ki chadar bichha ke so lete

Bashir Badr

13 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.