ghazalKuch Alfaaz

hai iid laao mai-e-lala-fam uth uth kar gale lagate hain shishon ko jaam uth uth kar hava chali miri uftadgi ki ai saaqi girenge nashshe men sab khush-khiram uth uth kar zamin-o-arsh-o-falak paemal hote hain na jaao sahn se bala-e-bam uth uth kar koi bashar na ho maghhrur jism-e-khaki par ki baithte hain bahut qasr-e-kham uth uth kar dam-e-sahar nazar aaya hai kis ka munh yarab sanam jo karte hain mujh ko salam uth uth kar zara uthaiye tabut apne ashiq ka khuda ki raah ka karte hain kaam uth uth kar qayamat aai hai halchal hai asmanon par na phiriye bahr-e-khuda baam baam uth uth kar pade hain paanv ki surat zaban men ghatte ye qasidon ko diye hain payam uth uth kar banegi shoala-e-javvala gardish-e-qismat tumhare gird phirega ghhulam uth uth kar badhegi baat na baithenge chupke ham ai but raqib se jo karoge kalam uth uth kar rahegi ashiqon ke dast-o-pa men jab tak his tumhari lenge balaen mudam uth uth kar khuda bithae agar karbala men mujh ko 'munir' phirun main gird-e-mazar-e-imam uth uth kar hai id lao mai-e-lala-fam uth uth kar gale lagate hain shishon ko jam uth uth kar hawa chali meri uftadgi ki ai saqi girenge nashshe mein sab khush-khiram uth uth kar zamin-o-arsh-o-falak paemal hote hain na jao sahn se baala-e-baam uth uth kar koi bashar na ho maghrur jism-e-khaki par ki baithte hain bahut qasr-e-kham uth uth kar dam-e-sahar nazar aaya hai kis ka munh yarab sanam jo karte hain mujh ko salam uth uth kar zara uthaiye tabut apne aashiq ka khuda ki rah ka karte hain kaam uth uth kar qayamat aai hai halchal hai aasmanon par na phiriye bahr-e-khuda baam baam uth uth kar pade hain panw ki surat zaban mein ghatte ye qasidon ko diye hain payam uth uth kar banegi shoala-e-jawwala gardish-e-qismat tumhaare gird phirega ghulam uth uth kar badhegi baat na baithenge chupke hum ai but raqib se jo karoge kalam uth uth kar rahegi aashiqon ke dast-o-pa mein jab tak his tumhaari lenge balaen mudam uth uth kar khuda bithae agar karbala mein mujh ko 'munir' phirun main gird-e-mazar-e-imam uth uth kar

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muneer Shikohabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muneer Shikohabadi's ghazal.