ham ne kisi ki yaad men aksar sharab pi pi kar ghhazal kahi to mukarrar sharab pi yadon ka ik hujum tha tanha nahin tha main sahil ki chandni men samundar sharab pi muddat ke baa'd aaj main office nahin gaya khud apne saath baith ke din bhar sharab pi is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai ghham ko khushi ke saath mila kar sharab pi vaise to ham ne pi hi nahin thi kabhi sharab piine lage to vajd men aa kar sharab pi ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe kyuun khuun pi raha hai sitamgar sharab pi hum ne kisi ki yaad mein aksar sharab pi pi kar ghazal kahi to mukarrar sharab pi yaadon ka ek hujum tha tanha nahin tha main sahil ki chandni mein samundar sharab pi muddat ke ba'd aaj main office nahin gaya khud apne sath baith ke din bhar sharab pi is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai gham ko khushi ke sath mila kar sharab pi waise to hum ne pi hi nahin thi kabhi sharab pine lage to wajd mein aa kar sharab pi ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe kyun khun pi raha hai sitamgar sharab pi
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
More from Fazil Jamili
ham ne kisi ki yaad men akshar sharaab pee pee kar ghazal kahii to mukarrar sharaab pee yaadon ka ik hujoom tha tanhaa nahin tha main saahil ki chaandni men samundar sharaab pee muddat ke baad aaj main office nahin gaya KHud apne saath baith ke din bhar sharaab pee is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai gham ko khushi ke saath mila kar sharaab pee vaise to ham ne pee hi nahin thii kabhi sharaab peene lage to vajd men aa kar sharaab pee ab kaun ja ke saahib-e-mimbar se ye kahe kyun KHoon pee raha hai sitamgar sharaab pee
Fazil Jamili
5 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fazil Jamili.
Similar Moods
More moods that pair well with Fazil Jamili's ghazal.







