ham se chunan-chunin na karo ham nashe men hain ham jo kahen nahin na karo ham nashe men hain nashsha koi dhaki-chhupi tahrik to nahin har-chand tum yaqin na karo ham nashe men hain aisa na ho ki aap ki banhon men aa giren ankhon ko khashmagin na karo ham nashe men hain baten karo nigar o bahar o sharab ki azkar-e-shar-o-din na karo ham nashe men hain ye vaqt hai 'adam' ki tavazoa ka sahibo tang apni astin na karo ham nashe men hain hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain nashsha koi dhaki-chhupi tahrik to nahin har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren aankhon ko khashmagin na karo hum nashe mein hain baaten karo nigar o bahaar o sharab ki azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo tang apni aastin na karo hum nashe mein hain
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
More from Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskuraate hain zeest ke ranj bhool jaate hain kyun shikan daalte ho maathe par bhool kar aa ga.e hain jaate hain kashtiyaañ yuñ bhi doob jaati hain nakhuda kis li.e daraate hain ik haseen aankh ke ishaare par qafile raah bhool jaate hain
Abdul Hamid Adam
5 likes
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya vo KHud pila rahe the main lahara ke pee gaya tauba ke tootne ka bhi kuchh kuchh malaal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee ga.e main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya sadhaa mutaalibaat ke baa'd ek jaam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod dii sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya
Abdul Hamid Adam
6 likes
hañs ke bola karo bulaayaa karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskuraahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaaya karo had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmen zaroor khaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-naye pairhan men aaya karo kitne saada-mizaaj ho tum adamus gali men bahut na jaaya karo
Abdul Hamid Adam
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.







