hamari maut ka vahid hai ye gavah badan nahin hai ruuh pe koi bhi zakhm-gah badan hamari aankh se zahir ho raushni kaise hamare samne rakkha gaya siyah badan jo gunge logon ki basti men koi naam liya sunai dene lage mujh ko be-panah badan hamari ruuh pe nashtar chubhe udasi ke hazar aahon pe matam-kada hai aah badan use mare hue ghante guzar gae kitne ab aage kya hai nahin hai agar tabah badan main us pe naqsh banaungi apni vahshat ke nai nikalungi tujh se main koi raah badan main andhe logon men shamil huun un ke jaisi huun so ek shart hi rakkhi gai nibah badan hamari maut ka wahid hai ye gawah badan nahin hai ruh pe koi bhi zakhm-gah badan hamari aankh se zahir ho raushni kaise hamare samne rakkha gaya siyah badan jo gunge logon ki basti mein koi nam liya sunai dene lage mujh ko be-panah badan hamari ruh pe nashtar chubhe udasi ke hazar aahon pe matam-kada hai aah badan use mare hue ghante guzar gae kitne ab aage kya hai nahin hai agar tabah badan main us pe naqsh banaungi apni wahshat ke nai nikalungi tujh se main koi rah badan main andhe logon mein shamil hun un ke jaisi hun so ek shart hi rakkhi gai nibah badan
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Anamta Ali.
Similar Moods
More moods that pair well with Anamta Ali's ghazal.







