hans ke bola karo bulaya karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskurahat hai husn ka zevar ruup badhta hai muskuraya karo had se badh kar hasin lagte ho jhuti qasmen zarur khaya karo hukm karna bhi ik sakhavat hai ham ko khidmat koi bataya karo baat karna bhi badshahat hai baat karna na bhuul jaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-nae pairahan men aaya karo ham hasad se 'adam' nahin kahte us gali men bahut na jaaya karo hans ke bola karo bulaya karo aap ka ghar hai aaya jaya karo muskurahat hai husn ka zewar rup badhta hai muskuraya karo had se badh kar hasin lagte ho jhuti qasmen zarur khaya karo hukm karna bhi ek sakhawat hai hum ko khidmat koi bataya karo baat karna bhi baadshahat hai baat karna na bhul jaya karo taki duniya ki dilkashi na ghate nit-nae pairahan mein aaya karo hum hasad se 'adam' nahin kahte us gali mein bahut na jaya karo
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
65 likes
More from Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskuraate hain zeest ke ranj bhool jaate hain kyun shikan daalte ho maathe par bhool kar aa ga.e hain jaate hain kashtiyaañ yuñ bhi doob jaati hain nakhuda kis li.e daraate hain ik haseen aankh ke ishaare par qafile raah bhool jaate hain
Abdul Hamid Adam
5 likes
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya vo KHud pila rahe the main lahara ke pee gaya tauba ke tootne ka bhi kuchh kuchh malaal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee ga.e main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya sadhaa mutaalibaat ke baa'd ek jaam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod dii sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya
Abdul Hamid Adam
6 likes
hañs ke bola karo bulaayaa karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskuraahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaaya karo had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmen zaroor khaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-naye pairhan men aaya karo kitne saada-mizaaj ho tum adamus gali men bahut na jaaya karo
Abdul Hamid Adam
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.







