ghazalKuch Alfaaz

haq fath-yab mere khuda kyuun nahin hua tu ne kaha tha tera kaha kyuun nahin hua jab hashr isi zamin pe uthae gae to phir barpa yahin pe roz-e-jaza kyuun nahin hua vo shama bujh gai thi to kohram tha tamam dil bujh gae to shor-e-aza kyuun nahin hua vamandgan pe tang hui kyuun tiri zamin darvaza asman ka va kyuun nahin hua vo shoala-saz bhi isi basti ke log the un ki gali men raqs-e-hava kyuun nahin hua akhir isi kharabe men zinda hain aur sab yuun khaak koi mere siva kyuun nahin hua kya jazb-e-ishq mujh se ziyada tha ghhair men us ka habib us se juda kyuun nahin hua jab vo bhi the gulu-e-burida se nala-zan phir kushtagan ka harf rasa kyuun nahin hua karta raha main tere liye doston se jang tu mere dushmanon se khafa kyuun nahin hua jo kuchh hua vo kaise hua janta huun main jo kuchh nahin hua vo bata kyuun nahin hua haq fath-yab mere khuda kyun nahin hua tu ne kaha tha tera kaha kyun nahin hua jab hashr isi zamin pe uthae gae to phir barpa yahin pe roz-e-jaza kyun nahin hua wo shama bujh gai thi to kohram tha tamam dil bujh gae to shor-e-aza kyun nahin hua wamandgan pe tang hui kyun teri zamin darwaza aasman ka wa kyun nahin hua wo shoala-saz bhi isi basti ke log the un ki gali mein raqs-e-hawa kyun nahin hua aakhir isi kharabe mein zinda hain aur sab yun khak koi mere siwa kyun nahin hua kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein us ka habib us se juda kyun nahin hua jab wo bhi the gulu-e-burida se nala-zan phir kushtagan ka harf rasa kyun nahin hua karta raha main tere liye doston se jang tu mere dushmanon se khafa kyun nahin hua jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Irfan Siddiqi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Irfan Siddiqi's ghazal.