har ek chiiz mayassar sivae bosa hai aur apne ghham ka sabab iltava-e-bosa hai bhale to lagte hain inkar-e-bosa par bhi ye hont kabhi to ye kaho ye lab barae bosa hai mire qarib se honton ko mat guzar itna ki chal rahi mire sar men hava-e-bosa hai chhupaya kar nahin honton ko muskurate hue ye ja-e-sharm nahin hai ye ja-e-bosa hai lab-e-khamosh pe bhi hai mire hi kaam ka harf miri murad ye be hai jo ba-e-bosa hai samajh men kuchh nahin aata ki bolti ho kya labon pe khelti phirti nida-e-bosa hai yahi na chhod ke ja tishna-kam honton par ki ye to bosa-e-sahv-e-qaza-e-bosa hai tumhari khush-dahni se hai asl men sarokar ye lab ka bosa to bas ibtida-e-bosa hai bas ek bosa-e-subh aur ek bosa-e-sham faqir-e-bosa huun aur iltija-e-bosa hai laban-e-bosa-chashida bhi khuub hain lekin nigah men ik but-e-na-katkhuda-e-bosa hai har ek chiz mayassar siwae bosa hai aur apne gham ka sabab iltawa-e-bosa hai bhale to lagte hain inkar-e-bosa par bhi ye hont kabhi to ye kaho ye lab barae bosa hai mere qarib se honton ko mat guzar itna ki chal rahi mere sar mein hawa-e-bosa hai chhupaya kar nahin honton ko muskuraate hue ye ja-e-sharm nahin hai ye ja-e-bosa hai lab-e-khamosh pe bhi hai mere hi kaam ka harf meri murad ye be hai jo ba-e-bosa hai samajh mein kuchh nahin aata ki bolti ho kya labon pe khelti phirti nida-e-bosa hai yahi na chhod ke ja tishna-kaam honton par ki ye to bosa-e-sahw-e-qaza-e-bosa hai tumhaari khush-dahni se hai asl mein sarokar ye lab ka bosa to bas ibtida-e-bosa hai bas ek bosa-e-subh aur ek bosa-e-sham faqir-e-bosa hun aur iltija-e-bosa hai laban-e-bosa-chashida bhi khub hain lekin nigah mein ek but-e-na-katkhuda-e-bosa hai
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Syed Kashif Raza.
Similar Moods
More moods that pair well with Syed Kashif Raza's ghazal.







