ghazalKuch Alfaaz

har haqiqat majaz ho jaae kafiron ki namaz ho jaae dil rahin-e-niyaz ho jaae bekasi karsaz ho jaae minnat-e-chara-saz kaun kare dard jab jan-navaz ho jaae ishq dil men rahe to rusva ho lab pe aae to raaz ho jaae lutf ka intizar karta huun jaur ta hadd-e-naz ho jaae umr be-sud kat rahi hai 'faiz' kaash ifsha-e-raz ho jaae har haqiqat majaz ho jae kafiron ki namaz ho jae dil rahin-e-niyaz ho jae bekasi karsaz ho jae minnat-e-chaara-saz kaun kare dard jab jaan-nawaz ho jae ishq dil mein rahe to ruswa ho lab pe aae to raaz ho jae lutf ka intizar karta hun jaur ta hadd-e-naz ho jae umr be-sud kat rahi hai 'faiz' kash ifsha-e-raaz ho jae

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Faiz Ahmad Faiz

ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi tum aashna the to theen aashnaaiyaan kya kya juda the ham to muyassar theen qurbaten kitnii bahm hue to pa dii hain judaaiyaan kya kya pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar thehre agarche rah men hui jag-hansaaiyaan kya kya ham aise saada-dilon ki niyaaz-man dii se buton ne ki hain jahaan men khudaiyaan kya kya sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda sikhaaiin tum ne ha men kaj-adaaiyaan kya kya

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai

Faiz Ahmad Faiz

1 likes

qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain ham kuchh imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi koo-e-sitam men sab ko KHafaa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen feeka hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye sau baar un ki khoo ka gilaa kar chuke hain ham

Faiz Ahmad Faiz

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.