ghazalKuch Alfaaz

har lamha diye jaate hain ghham dekh raha huun apnon ke ye andaz-e-karam dekh raha huun sab chand sitaron ki taraf daud rahe hain chhup chhup ke main bas apna sanam dekh raha huun hanste hue ye kahna ki pahchana nahin hai tuuta hai mira kaise bharam dekh raha huun sach bolne vaale se sabhi tod ke rishte jhute ki taraf badhte qadam dekh raha huun lagta hai ki ab 'ishq mukammal hua mera hota hua sar apna qalam dekh raha huun aana unhen hota to 'nizam' aa gae hote siine se nikalta hua dam dekh raha huun har lamha diye jate hain gham dekh raha hun apnon ke ye andaz-e-karam dekh raha hun sab chand sitaron ki taraf daud rahe hain chhup chhup ke main bas apna sanam dekh raha hun hanste hue ye kahna ki pahchana nahin hai tuta hai mera kaise bharam dekh raha hun sach bolne wale se sabhi tod ke rishte jhute ki taraf badhte qadam dekh raha hun lagta hai ki ab 'ishq mukammal hua mera hota hua sar apna qalam dekh raha hun aana unhen hota to 'nizam' aa gae hote sine se nikalta hua dam dekh raha hun

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nizam Naushahi Sambhali.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nizam Naushahi Sambhali's ghazal.