har shai hai pur-malal badi tez dhuup hai har lab pe hai saval badi tez dhuup hai chakra ke gir na jaun main is tez dhuup men mujh ko zara sambhal badi tez dhuup hai de hukm badalon ko khayaban-nashin huun jam-o-subu uchhal badi tez dhuup hai mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdan baras pade zulfon ki chhanv daal badi tez dhuup hai ab shahr-e-arzu men vo raanaiyan kahan hain gul-kade nidhal badi tez dhuup hai samjhi hai jis ko saya-e-ummid aql-e-kham 'saghhar' ka hai khayal badi tez dhuup hai har shai hai pur-malal badi tez dhup hai har lab pe hai sawal badi tez dhup hai chakra ke gir na jaun main is tez dhup mein mujh ko zara sambhaal badi tez dhup hai de hukm baadalon ko khayaban-nashin hun jam-o-subu uchhaal badi tez dhup hai mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdan baras pade zulfon ki chhanw dal badi tez dhup hai ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan hain gul-kade nidhaal badi tez dhup hai samjhi hai jis ko saya-e-ummid aql-e-kham 'saghar' ka hai khayal badi tez dhup hai
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







