hava ke vaste ik kaam chhod aaya huun diya jala ke sar-e-sham chhod aaya huun kabhi nasib ho fursat to us ko padh lena vo ek khat jo tire naam chhod aaya huun hava-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai main apne ghar ke dar-o-bam chhod aaya huun koi charaghh sar-e-rahguzar nahin na sahi main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhod aaya huun abhi to aur bahut us pe tabsire honge main guftugu men jo ibham chhod aaya huun ye kam nahin hai vazahat miri asiri ki paron ke rang tah-e-dam chhod aaya huun vahan se ek qadam bhi na ja saki aage jahan pe gardish-e-ayyam chhod aaya huun mujhe jo dhundhna chahe vo dhundh le 'ejaz' ki ab main kucha-e-gum-nam chhod aaya huun hawa ke waste ek kaam chhod aaya hun diya jala ke sar-e-sham chhod aaya hun kabhi nasib ho fursat to us ko padh lena wo ek khat jo tere nam chhod aaya hun hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai main apne ghar ke dar-o-baam chhod aaya hun koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhod aaya hun abhi to aur bahut us pe tabsire honge main guftugu mein jo ibham chhod aaya hun ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki paron ke rang tah-e-dam chhod aaya hun wahan se ek qadam bhi na ja saki aage jahan pe gardish-e-ayyam chhod aaya hun mujhe jo dhundhna chahe wo dhundh le 'ejaz' ki ab main kucha-e-gum-nam chhod aaya hun
Related Ghazal
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ejaz Rahmani.
Similar Moods
More moods that pair well with Ejaz Rahmani's ghazal.







