ghazalKuch Alfaaz

hazaron lakhon dilli men makan hain magar pahchanne vaale kahan hain kahin par silsila hai kothiyon ka kahin girte khandar hain naliyan hain kahin hansti chamakti suraten hain kahin mitti hui parchhaiyan hain kahin avaz ke parde pade hain kahin chup men kai sargoshiyan hain qutub-sahib khade hain sar jhukae qile par gidh bahut hi shadman hain are ye kaun si sadken hain bhaai yahan to ladkiyan hi ladkiyan hain likha milta hai divaron pe ab bhi to kya ab bhi vahi bimariyan hain havalon par havale de rahe hain ye sahab to kitabon ki dukan hain mire aage mujhi ko koste hain magar kya kijiye ahl-e-zaban hain dikhaya ek hi dilli ne kya kya bura ho ab to do do dilliyan hain yahan bhi dost mil jaate hain 'alvi' yahan bhi doston men talkhiyan hain hazaron lakhon dilli mein makan hain magar pahchanne wale kahan hain kahin par silsila hai kothiyon ka kahin girte khandar hain naliyan hain kahin hansti chamakti suraten hain kahin mitti hui parchhaiyan hain kahin aawaz ke parde pade hain kahin chup mein kai sargoshiyan hain qutub-sahib khade hain sar jhukae qile par gidh bahut hi shadman hain are ye kaun si sadken hain bhai yahan to ladkiyan hi ladkiyan hain likha milta hai diwaron pe ab bhi to kya ab bhi wahi bimariyan hain hawalon par hawale de rahe hain ye sahab to kitabon ki dukan hain mere aage mujhi ko koste hain magar kya kijiye ahl-e-zaban hain dikhaya ek hi dilli ne kya kya bura ho ab to do do dilliyan hain yahan bhi dost mil jate hain 'alwi' yahan bhi doston mein talkhiyan hain

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohammad Alvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohammad Alvi's ghazal.