hui na khatm teri rahguzar kya karte tere hisaar se KHud ko firaar kya karte safeena ghark hi karna pada ha men aaKHir tire baghair samundar ko paar kya karte bas ek sukoot hi jis ka javaab hona tha vahii sawaal miyaan baar baar kya karte phir is ke baad manaaya na jashn khushboo ka lahu men doobi thii fasl-e-bahaar kya karte nazar ki zad men naye phool aa ga.e azhar gaii rutoon ka bhala intizaar kya karte
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Azhar Iqbal
vo mahtaab abhii baam par nahin aaya mirii duaon men shaayad asar nahin aaya bahut ajeeb hai yaaron bulandiyon ka tilism jo ek baar gaya laut kar nahin aaya ye kaayenaat ki wus'at khulii nahin mujh par main apni zaat se jab tak guzar nahin aaya bahut dinon se hai be-shakl si mirii miTTi bahut dinon se koi kooza-gar nahin aaya bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya ham ab bhi dasht men KHema lagaaye baithe hain hamaare hisse men apna hi ghar nahin aaya zameen baanjh na ho jaa.e kuchh kaho azhar sukhun ki shaakh pe kab se samar nahin aaya
Azhar Iqbal
10 likes
mujh ko vehshat hui mire ghar se raat teri judaai ke dar se teri furqat ka habs tha andar aur dam ghut raha tha baahar se jism ki aag bujh gaii lekin phir nadaamat ke ashk bhi barase ek muddat se hain safar men ham ghar men rah kar bhi jaise beghar se baar-ha teri justuju men ham tujh se milne ke baad bhi tarse
Azhar Iqbal
11 likes
zameen-e-dil ik arse baa'd jal-thal ho rahi hai koi baarish mere andar musalsal ho rahi hai lahu ka rang faila hai hamaare canvas par teri tasveer ab ja kar mukammal ho rahi hai hawa-e-taaza ka jhonka chala aaya kahaan se ki muddat baa'd si paani men halchal ho rahi hai tujhe dekhe se mumkin maghfirat ho jaa.e us ki tere beemaar ki bas aaj aur kal ho rahi hai vo sahab aa hi gaii band-e-qaba kholne lage hain paheli thii jo ik uljhi hui hal ho rahi hai
Azhar Iqbal
13 likes
gulaab chaandni-raaton pe vaar aa.e ham tumhaare honton ka sadqa utaar aa.e ham vo ek jheel thii shaffaaf neel paani ki aur us men doob ko KHud ko nikhaar aa.e ham tire hi lams se un ka khiraaj mumkin hai tire baghair jo umren guzaar aa.e ham phir us gali se guzarna pada tiri khaatir phir us gali se bahut be-qaraar aa.e ham ye kya sitam hai ki is nashsha-e-mohabbat men tire siva bhi kisi ko pukaar aa.e ham
Azhar Iqbal
11 likes
ghutan si hone lagii us ke paas jaate hue main KHud se rooth gaya hooñ use manaate hue ye zakham zakham manaazir lahu lahu chehre kahaan chale ga.e vo log hanste gaate hue na jaane khatm hui kab hamaari aazaa dii taalluqaat ki paabandiyaan nibhaate hue hai ab bhi bistar-e-jaan par tire badan ki shikan main KHud hi mitne laga hooñ use mitaate hue tumhaare aane ki ummeed bar nahin aati main raakh hone laga hooñ diye jalate hue
Azhar Iqbal
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Azhar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Azhar Iqbal's ghazal.







