ghazalKuch Alfaaz

ham aise ishq ke maaron ko tanhaa maar deti hai mohabbat jaan ki pyaasi hai banda maar deti hai alag andaaz hain dono ke apni baat kehne ke main uspe she'r kahtaa hoon vo taana maar deti hai ham uske dil men rahte hain so achchhe hain wagarana dost adaaon se to 'aashiq ko vo zinda maar deti hai kisi rassi kisi pankhe pe ye ilzaam aaya par koi KHud se nahin marta ye duniya maar deti hai ham aise log ghalti se kabhi jo KHvaab dekhen to ghareebi KHvaab ke munh pe tamaacha maar deti hai

Ankit Maurya24 Likes

Related Ghazal

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare

Kumar Vishwas

56 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ankit Maurya.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ankit Maurya's ghazal.