ik hunar hai jo kar gaya huun main sab ke dil se utar gaya huun main kaise apni hansi ko zabt karun sun raha huun ki ghar gaya huun main kya bataun ki mar nahin paata jite-ji jab se mar gaya huun main ab hai bas apna samna dar-pesh har kisi se guzar gaya huun main vahi naz-o-ada vahi ghhamze sar-ba-sar aap par gaya huun main ajab ilzam huun zamane ka ki yahan sab ke sar gaya huun main kabhi khud tak pahunch nahin paaya jab ki vaan umr bhar gaya huun main tum se janan mila huun jis din se be-tarah khud se dar gaya huun main ku-e-janan men sog barpa hai ki achanak sudhar gaya huun main ek hunar hai jo kar gaya hun main sab ke dil se utar gaya hun main kaise apni hansi ko zabt karun sun raha hun ki ghar gaya hun main kya bataun ki mar nahin pata jite-ji jab se mar gaya hun main ab hai bas apna samna dar-pesh har kisi se guzar gaya hun main wahi naz-o-ada wahi ghamze sar-ba-sar aap par gaya hun main ajab ilzam hun zamane ka ki yahan sab ke sar gaya hun main kabhi khud tak pahunch nahin paya jab ki wan umr bhar gaya hun main tum se jaanan mila hun jis din se be-tarah khud se dar gaya hun main ku-e-jaanan mein sog barpa hai ki achanak sudhar gaya hun main
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Eliya.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.







