ghazalKuch Alfaaz

ik subh hai jo hui nahin hai ik raat hai jo kati nahin hai maqtoolon ka qahat pad na jaa.e qaateel ki kahii kamii nahin hai veeraanon se aa rahi hai awaaz takhleeq-e-junoon ruki nahin hai hai aur hi kaarobaar-e-masti jee lena to zindagi nahin hai saaqi se jo jaam le na badh kar vo tishnagi tishnagi nahin hai aashiq-kushi o fareb-kaari ye sheva-e-dilbari nahin hai bhookhon ki nigaah men hai bijli ye barq abhii giri nahin hai dil men jo jalaaii thii kisi ne vo sham-e-tarab bujhi nahin hai ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan vo aankh abhii u thii nahin hai hain kaam bahut abhii ki duniya shaista-e-aadmi nahin hai har rang ke aa chuke hain fir'aun lekin ye jabeen jhuki nahin hai

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

More from Ali Sardar Jafri

aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan gul hoti jaati hai magar zauq-e-junoon ki shola-saamaani nahin jaati KHuda maaloom kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuñ hai to kyun hai yuñ nahin to kyun nahin aaKHir yaqeen mohkam hai lekin dil ki hairaani nahin jaati lahu jitna tha saara sarf-e-maqtl ho gaya lekin shaheedaan-e-wafaa ke rukh ki tabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shay aur mahangi aur mahangi hoti jaati hai bas ik khoon-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati naye KHvaabon ke dil men shola-e-khurshid-e-mahshar hai zameer-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr-e-arbaab-e-zabaan-ban dii ali-sardaar ki shaan-e-ghazal-khwaani nahin jaati

Ali Sardar Jafri

0 likes

ab aa gaya hai jahaan men to muskurata ja chaman ke phool dilon ke kanwal khilaata ja adam hayaat se pahle adam hayaat ke baa'd ye ek pal hai use jaavedaan banata ja bhatk rahi hai andhere men zindagi ki baraat koi charaaghh sar-e-rahguzar jalata ja guzar chaman se misaal-e-naseem-e-subh-e-bahaar gulon ko chhed ke kaanton ko gudgudaata ja rah-e-daraaz hai aur door shauq ki manzil garaan hai marhala-e-umr geet gaata ja bala se bazm men gar zauq-e-naghmagi kam hai nava-e-talkh ko kuchh talkh-tar banata ja jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna nazaad-e-nau ko tareeq-e-junoon sikhaata ja dikha ke jalwa-e-farda banaa de deewaana naye zamaane ke rukh se naqaab uthaata ja bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilein hain udaas koi taraana koi dastaan sunaata ja

Ali Sardar Jafri

0 likes

zulm ki kuchh miyaad nahin hai daad nahin fariyaad nahin hai qatl hue hain ab tak kitne koo-e-sitam ko yaad nahin hai aaKHir royen kis ko kis ko kaun hai jo barbaad nahin hai qaid chaman bhi ban jaata hai murgh-e-chaman azaad nahin hai lutf hi kya gar apne muqaabil satwat-e-barq-o-baad nahin hai sab hon shaadan sab hon khandaan tanhaa koi shaad nahin hai daawat-e-rang-o-nikhat hai ye khanda-e-gul barbaad nahin hai

Ali Sardar Jafri

0 likes

laghzish-e-gaam li.e lagzish-e-mastaana li.e aa.e ham bazm men phir jur'at-e-rindaana li.e ishq pahluu men hai phir jalwa-e-jaanaana li.e zulf ik haath men ik haath men paimaana li.e yaad karta tha ha men saaqi-o-meena ka hujoom uth ga.e the jo kabhi raunaq-e-may-khaana li.e vasl ki subh shab-e-hijr ke baa'd aayi hai aaftaab-e-rukh-e-mahboob ka nazraana li.e asr-e-haazir ko mubarak ho naya daur-e-awaam apni thokar men sar-e-shaukat-e-shaahaana li.e

Ali Sardar Jafri

1 likes

ishq ka naghma junoon ke saaz par gaate hain ham apne gham ki aanch se patthar ko pighlaate hain ham jaag uthte hain to sooli par bhi neend aati nahin vaqt pad jaa.e to angaaron pe so jaate hain ham zindagi ko ham se badh kar kaun kar saka hai pyaar aur agar marne pe aa jaayen to mar jaate hain ham dafn ho kar KHaak men bhi dafn rah sakte nahin laala-o-gul ban ke veeraanon pe chha jaate hain ham ham ki karte hain chaman men ehtimaam-e-rang-o-boo roo-e-geeti se naqaab-e-husn sarkaate hain ham aks padte hi sanwar jaate hain chehre ke nuqoosh shaahid-e-hasti ko yuñ aaina dikhlaate hain ham may-kashon ko muzda sadiyon ke pyaason ko naved apni mehfil apna saaqi le ke ab aate hain ham

Ali Sardar Jafri

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ali Sardar Jafri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ali Sardar Jafri's ghazal.