ishq paagal kar gaya to kya karoge soch lo saanehaa aisa hua to kya karoge soch lo saath us ke har qadam chalne ki aadat kis li.e chhod kar vo chal diya to kya karoge soch lo shor baahar hai abhii is vaaste KHaamosh ho shor andar se utha to kya karoge soch lo kar rahe ho ghar naya ta'aamir udti ret par ye achaanak gir gaya to kya karoge soch lo laut kar jaana to hai aaKHir s abhii ko us taraf sau baras bhi jee liya to kya karoge soch lo dhadkanein madhham hui jaati hain ai chaaragaro chaak dil ka sil gaya to kya karoge soch lo band palkon men adhoore KHvaab bante ho magar koi in men aa basa to kya karoge soch lo dar dariche sab muqaffal kar ke baithe ho magar vo achaanak aa gaya to kya karoge soch lo doobte suraj ka chehra aur us ka naqsh-e-paa jab ye manzar gum hua to kya karoge soch lo
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Fakhira batool.
Similar Moods
More moods that pair well with Fakhira batool's ghazal.







