ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banata hai jahan men aadmi apni jagah kah to sakta huun magar majbur kar sakta nahin ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat men kahne vaale thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke hont kaghhaz par bana deta huun main khud bana leti hai honton par hansi apni jagah dost kahta huun tumhen shaer nahin kahta 'shuur' dosti apni jagah hai shaeri apni jagah ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banata hai jahan mein aadmi apni jagah kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat mein kahne wale thik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke hont kaghaz par bana deta hun main khud bana leti hai honton par hansi apni jagah dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur' dosti apni jagah hai shaeri apni jagah
Related Ghazal
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
paraai aag pe roti nahin banaoonga main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga agar KHuda ne banaane ka ikhtiyaar diya alam banaoonga barchi nahin banaoonga fareb de ke tira jism jeet luun lekin main ped kaat ke kashtii nahin banaoonga gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hooñ naye makaan men khidki nahin banaoonga main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun to un ki auratein qaai dii nahin banaoonga tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh main ab charaaghh ki lau hi nahin banaoonga main ek film banaoonga apne sarwat par aur is men rail ki patri nahin banaoonga
Tehzeeb Hafi
92 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Anwar Shuoor.
Similar Moods
More moods that pair well with Anwar Shuoor's ghazal.







