jab bhi ham fikr ke gulzar men aa jaate hain lafz mahke hue ash'ar men aa jaate hain ye jo ham bazm-e-adakar men aa jaate hain aisa lagta hai ki be-kar men aa jaate hain go shikasta hi sahi dhuup se bachne ke liye ham bhi is saya-e-divar men aa jaate hain kab se ik saath nahin baithe hain mil kar ham log aisa karte hain ki itvar men aa jaate hain ye suna hai ki yahan qimaten lag jaati hain aao ham bhi isi bazar men aa jaate hain kitna poshida rakhen roz ki khabron ki tarah 'ishq ke qisse to akhbar men aa jaate hain koi khvahish na tamanna hai na fariyad koi be-sabab aap ke darbar men aa jaate hain laakh ahbab se ham apne chhupaen 'najmi' sanahe ziist ke ash'ar men aa jaate hain jab bhi hum fikr ke gulzar mein aa jate hain lafz mahke hue ash'ar mein aa jate hain ye jo hum bazm-e-adakar mein aa jate hain aisa lagta hai ki be-kar mein aa jate hain go shikasta hi sahi dhup se bachne ke liye hum bhi is saya-e-diwar mein aa jate hain kab se ek sath nahin baithe hain mil kar hum log aisa karte hain ki itwar mein aa jate hain ye suna hai ki yahan qimaten lag jati hain aao hum bhi isi bazar mein aa jate hain kitna poshida rakhen roz ki khabron ki tarah 'ishq ke qisse to akhbar mein aa jate hain koi khwahish na tamanna hai na fariyaad koi be-sabab aap ke darbar mein aa jate hain lakh ahbab se hum apne chhupaen 'najmi' sanahe zist ke ash'ar mein aa jate hain
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Naeem Najmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Naeem Najmi's ghazal.







