jab fikron par badal se mandlate honge insan ghat kar saae se rah jaate honge do din ko gulshan pe bahar aane ko hogi panchhi dil men raag sada ke gaate honge duniya to sidhi hai lekin duniya vaale jhuti sachchi kah ke use bahkate honge yaad aa jaata hoga koi jab raahi ko chalte chalte paanv vahin ruk jaate honge kali kali birhan ki chita ban jaati hogi kaale badal ghir kar aage lagate honge dukh men kya karte honge daulat ke pujari ruup khilauna tod ke man bahlate honge jab fikron par baadal se mandlate honge insan ghat kar sae se rah jate honge do din ko gulshan pe bahaar aane ko hogi panchhi dil mein rag sada ke gate honge duniya to sidhi hai lekin duniya wale jhuti sachchi kah ke use bahkate honge yaad aa jata hoga koi jab rahi ko chalte chalte panw wahin ruk jate honge kali kali birhan ki chita ban jati hogi kale baadal ghir kar aage lagate honge dukh mein kya karte honge daulat ke pujari rup khilauna tod ke man bahlate honge
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kalidas Gupta Raza.
Similar Moods
More moods that pair well with Kalidas Gupta Raza's ghazal.







