jab log hon asuda bhula dete hain duniya ham logon ki duniya men mila dete hain duniya logon ko to mil jaate hain duniya men masiha ham charagari men hi ganva dete hain duniya ho zarf zamane ka zamane ko mubarak ham phir se ujadne ko basa dete hain duniya hairan hai khud ham pe ye fan bazigari ka hatte hain yuun manzar se saja dete hain duniya dil rakhne ko duniya ka yahan jhuk ke hain milte par baat ho dil ki to jhuka dete hain duniya tha qissa vo jan-leva sunana nahin mumkin bas hanste hain aise ki rula dete hain duniya is fikr men duube hain samajh aae haqiqat vo khvab nahin ham jo jaga dete hain duniya jab log hon aasuda bhula dete hain duniya hum logon ki duniya mein mila dete hain duniya logon ko to mil jate hain duniya mein masiha hum chaaragari mein hi ganwa dete hain duniya ho zarf zamane ka zamane ko mubarak hum phir se ujadne ko basa dete hain duniya hairan hai khud hum pe ye fan bazigari ka hatte hain yun manzar se saja dete hain duniya dil rakhne ko duniya ka yahan jhuk ke hain milte par baat ho dil ki to jhuka dete hain duniya tha qissa wo jaan-lewa sunana nahin mumkin bas hanste hain aise ki rula dete hain duniya is fikr mein dube hain samajh aae haqiqat wo khwab nahin hum jo jaga dete hain duniya
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







