jab se bulbul tu ne do tinke li.e tootti hain bijliyaan in ke li.e hai jawaani KHud jawaani ka singaar saadgi gehna hai is sin ke li.e kaun veeraane men dekhega bahaar phool jungle men khile kin ke li.e saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhod dii jin ke li.e baagbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke li.e sab haseen hain zaahidon ko na-pasand ab koi hoor aayegi in ke li.e vasl ka din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke li.e subh ka sona jo haath aata ameer bhejte tohfa mo'azzin ke li.e
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
More from Ameer Minai
chup bhi ho bak raha hai kya waiz maghz rindon ka kha gaya waiz tere kehne se rind jaayenge ye to hai khaana-e-khuda waiz allah allah ye kibr aur ye ghuroor kya KHuda ka hai doosra waiz be-khata may-kashon pe chashm-e-ghazab hashr hone de dekhna waiz ham hain qaht-e-sharaab se beemaar kis marz ki hai tu davaa waiz rah chuka may-kade men saari umr kabhi may-khaane men bhi aa waiz hajw-e-may kar raha tha mimbar par ham jo pahunchen to pee gaya waiz dukht-e-raz ko bura mire aage phir na kehna kabhi suna waiz aaj karta hooñ wasf-e-may main ameer dekhooñ kahtaa hai is men kya waiz
Ameer Minai
0 likes
jab se bulbul tu ne do tinke li.e tootti hain bijliyaan in ke li.e hai jawaani KHud jawaani ka singaar saadgi gehna hai is sin ke li.e kaun veeraane men dekhega bahaar phool jungle men khile kin ke li.e saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhod dii jin ke li.e baagbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke li.e sab haseen hain zaahidon ko na-pasand ab koi hoor aayegi in ke li.e vasl ka din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke li.e subh ka sona jo haath aata ameer bhejte tohfa mo'azzin ke li.e
Ameer Minai
0 likes
teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai seena kis ka hai mirii jaan jigar kis ka hai khauf-e-meezaan-e-qayaamat nahin mujh ko ai dost tu agar hai mire palle men to dar kis ka hai koi aata hai adam se to koi jaata hai sakht dono men KHuda jaane safar kis ka hai chhup raha hai qafas-e-tan men jo har taair-e-dil aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai naam-e-shaair na sahi she'r ka mazmoon ho khoob phal se matlab ha men kya kaam shajar kis ka hai said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir ai kamaan-daar tire teer men par kis ka hai mirii hairat ka shab-e-wasl ye bais hai ameer sar b-zaanoo hooñ ki zaanoo pe ye sar kis ka hai
Ameer Minai
0 likes
main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe zameen rahe na rahe aasmaañ rahe na rahe rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe makeen ki KHair ho ya rab makaan rahe na rahe abhii mazaar par ahbaab faatiha padh len phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe KHuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe khizaan to KHair se guzri chaman men bulbul ki bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe chala to hooñ paye izhaar-e-dard-e-dil dekhooñ huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe
Ameer Minai
1 likes
ham lottay hain vo so rahe hain kya naaz-o-niyaaz ho rahe hain kya rang jahaan men ho rahe hain do hanste hain chaar ro rahe hain duniya se alag jo ho rahe hain takiyon men maze se so rahe hain pahunchee hai hamaari ab ye haalat jo hanste the vo bhi ro rahe hain tanhaa tah-e-khaak bhi nahin ham hasrat ke saath so rahe hain sote hain lahd men sone waale jo jaagte hain vo ro rahe hain arbaab-e-kamaal chal base sab sau men kahii ek do rahe hain palkon ki jhapak dikha ke ye but dil men nashtar chubho rahe hain mujh daagh-naseeb ki lahd par laale ka vo beej bo rahe hain peeri men bhi ham hazaar afsos bachpan ki neend sau rahe hain daaman se ham apne daagh-e-hasti aab-e-khanjar se do rahe hain men jaag raha hooñ e shab-e-gham par mire naseeb sau rahe hain roenge ha men rulaane waale doobenge vo jo dubo rahe hain ai hashr madine men na kar shor chup chup sarkaar sau rahe hain aaiine pe bhi kaddi nigaahen kis par ye itaab ho rahe hain bhari hai jo motiyon ka maala aath aath aañsu vo ro rahe hain dil cheen ke ho ga.e hain ghaafil fitne vo jaga ke sau rahe hain hai gair ke ghar jo in ki daawat ham jaan se haath dho rahe hain sad shukr khayal hai usii ka ham jis se lipt ke sau rahe hain ho jaayen na khushk daagh ke phool aañsu un ko bhigo rahe hain aayegi na phir ke umr-e-rafta ham muft men jaan kho rahe hain kya giryaa-e-be-asar se haasil is rone pe ham to ro rahe hain fariyaad ki naakhuda-e-kashti kashtii ko mirii dubo rahe hain kyuuñ karte hain gham-gusaar takleef aañsu mire munh ko dho rahe hain mehfil barkhast hai patange ruksat shamon se ho rahe hain hai koch ka vaqt aasmaañ par taare kahii naam ko rahe hain un ki bhi numood hai koi dam vo bhi na rahenge jo rahe hain duniya ka ye rang aur ham ko kuchh hosh nahin hai so rahe hain thehro dam-e-naz'a do ghadi aur do chaar nafs hi to rahe hain phool un ko pinhaa pinhaa ke aghyaar kaañte mire haq men bo rahe hain zaanoo pe ameer sar ko rakhe paharon guzre ki ro rahe hain
Ameer Minai
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Minai.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Minai's ghazal.







