jab tire nain muskurate hain ziist ke ranj bhuul jaate hain kyuun shikan dalte ho mathe par bhuul kar aa gae hain jaate hain kashtiyan yuun bhi duub jaati hain nakhuda kis liye darate hain ik hasin aankh ke ishare par qafile raah bhuul jaate hain jab tere nain muskuraate hain zist ke ranj bhul jate hain kyun shikan dalte ho mathe par bhul kar aa gae hain jate hain kashtiyan yun bhi dub jati hain nakhuda kis liye daraate hain ek hasin aankh ke ishaare par qafile rah bhul jate hain
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
More from Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskuraate hain zeest ke ranj bhool jaate hain kyun shikan daalte ho maathe par bhool kar aa ga.e hain jaate hain kashtiyaañ yuñ bhi doob jaati hain nakhuda kis li.e daraate hain ik haseen aankh ke ishaare par qafile raah bhool jaate hain
Abdul Hamid Adam
5 likes
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya vo KHud pila rahe the main lahara ke pee gaya tauba ke tootne ka bhi kuchh kuchh malaal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee ga.e main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya sadhaa mutaalibaat ke baa'd ek jaam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod dii sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya
Abdul Hamid Adam
6 likes
hañs ke bola karo bulaayaa karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskuraahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaaya karo had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmen zaroor khaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-naye pairhan men aaya karo kitne saada-mizaaj ho tum adamus gali men bahut na jaaya karo
Abdul Hamid Adam
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.







