jahan tum ho rashk-e-gulistan pada hai jahan ham hain dasht-o-bayaban pada hai yahan tirgi hai vahan raushni hai 'ajab ik tazad-e-numayan pada hai vo josh-e-baharan vo abr-e-guhar-bar sabhi kuchh pas-e-chashm-e-giryan pada hai tire qasr men har taraf hai charaghhan mire ghar men faqon ka saman pada hai hai khush tu ki tera mahal hai salamat idhar shahr ka shahr viran pada hai mata'-e-nazar kya hai ik khvab-e-farda vahi khvab ankhon men larzan pada hai umidon ke lashe thikane lagao ki raste men shahr-e-khamoshan pada hai hai ashob-e-dil ya hai vahshat hamari ki insan se insan gurezan pada hai jahan tum ho rashk-e-gulistan pada hai jahan hum hain dasht-o-bayaban pada hai yahan tirgi hai wahan raushni hai 'ajab ek tazad-e-numayan pada hai wo josh-e-bahaaran wo abr-e-guhar-bar sabhi kuchh pas-e-chashm-e-giryan pada hai tere qasr mein har taraf hai charaghan mere ghar mein faqon ka saman pada hai hai khush tu ki tera mahal hai salamat idhar shahr ka shahr viran pada hai mata'-e-nazar kya hai ek khwab-e-farda wahi khwab aankhon mein larzan pada hai umidon ke lashe thikane lagao ki raste mein shahr-e-khamoshan pada hai hai aashob-e-dil ya hai wahshat hamari ki insan se insan gurezan pada hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saulat Bano.
Similar Moods
More moods that pair well with Saulat Bano's ghazal.







