jiine ke un ke saath bahane chale gae uth kar gae vo yuun ki zamane chale gae ehsas jin ke hone se hone ka tha kabhi un be-gharon ke saare thikane chale gae karna yahan pe kya tha magar kar rahe hain kya ham kya karen ki apne siyane chale gae jo paas the to qissa bhi kya dil-fareb tha kholi jo ab kitab fasane chale gae raunaq to chaar su hai magar muflison ko kya khali hain un ki jeben khazane chale gae tapta hai aftab to jalti hai ye zamin mausam bhi un ke saath suhane chale gae hasid samajh na liije yunhi sochta huun main ab vo na jaane kis ko rijhane chale gae 'abrak' mohabbaton men na da've kiya karen kyuun khud na aap un ko manane chale gae jine ke un ke sath bahane chale gae uth kar gae wo yun ki zamane chale gae ehsas jin ke hone se hone ka tha kabhi un be-gharon ke sare thikane chale gae karna yahan pe kya tha magar kar rahe hain kya hum kya karen ki apne siyane chale gae jo pas the to qissa bhi kya dil-fareb tha kholi jo ab kitab fasane chale gae raunaq to chaar su hai magar muflison ko kya khali hain un ki jeben khazane chale gae tapta hai aaftab to jalti hai ye zamin mausam bhi un ke sath suhane chale gae hasid samajh na lije yunhi sochta hun main ab wo na jaane kis ko rijhane chale gae 'abrak' mohabbaton mein na da'we kiya karen kyun khud na aap un ko manane chale gae
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







