jis bazm men tu naaz se guftaar men aave jaañ kaalbad-e-soorat-e-deewaar men aave saa.e ki tarah saath phiren sarv o sanobar tu is qadd-e-dilkash se jo gulzaar men aave tab naaz-e-giraan maigi-e-ashk baja hai jab lakht-e-jigar deedaa-e-khoon-baar men aave de mujh ko shikaayat ki ijaazat ki sitamgar kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar men aave us chashm-e-fusoon-gar ka agar paa.e ishaara tooti ki tarah aaina guftaar men aave kaanton ki zabaan sookh gaii pyaas se ya rab ik aabla-pa waadi-e-pur-khaar men aave mar jaaun na kyun rashk se jab vo tan-e-naazuk aaghosh-e-kham-e-halka-e-zunnaar men aave ghaarat-gar-e-naamoos na ho gar havas-e-zar kyun shaahid-e-gul baagh se bazaar men aave tab chaak-e-garebaan ka mazaa hai dil-e-naalaan jab ik nafs uljha hua har taar men aave aatish-kada hai seena mira raaz-e-nihaan se ai waaye agar ma'ariz-e-izhaar men aave ganjeena-e-ma'ni ka tilism us ko samjhiye jo lafz ki ghalib mire ashaar men aave
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Mirza Ghalib
raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki
Mirza Ghalib
0 likes
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
gham nahin hota hai azaadon ko besh az-yak-nafs barq se karte hain raushan sham-e-maatam-khaana ham mahfilein barham kare hai ganjinfaa-baaz-e-khyaal hain warq-gardaani-e-nairang-e-yak-but-khaana ham baavjood-e-yak-jahaan hangaama paidaai nahin hain charaaghaan-e-shabistaan-e-dil-e-parwaana ham zof se hai ne qanaat se ye tark-e-justujoo hain wabaal-e-takiya-gaah-e-himmat-e-mardaana ham daaim-ul-habs is men hain laakhon tamannaayein asad jaante hain seena-e-pur-khun ko zindaan-khaana ham bas-ki hain bad-mast-e-b-shikan b-shikan-e-may-khaana ham moo-e-sheesha ko samjhte hain khat-e-paimaana ham bas-ki har-yak-moo-e-zulf-afshaan se hai taar-e-shua panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shaana ham mashq-e-az-khud-raftagi se hain b-gulzaar-e-khyaal aashna taabeer-e-khwab-e-sabzaa-e-begaana ham fart-e-be-khwabi se hain shab-haa-e-hijr-e-yaar men jun zabaan-e-sham'a daag-e-garmi-e-afsaana ham shaam-e-gham men soz-e-ishq-e-aatish-e-rukhsaar se pur-fashaan-e-sokhtan hain soorat-e-parwaana ham hasrat-e-arz-e-tamannaa yaa se samjha chahiye do-jahaan hashr-e-zabaan-e-khushk hain jun shaana ham kashti-e-aalam b-toofaan-e-taghaaful de ki hain aalam-e-aab-e-gudaaz-e-jauhar-e-afsaana ham vehshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na pooch nang-e-baalidan hain jun moo-e-sar-e-deewaana ham
Mirza Ghalib
0 likes
bahut sahi gham-e-geeti sharaab kam kya hai ghulaam-e-saaqi-e-kausar hooñ mujh ko gham kya hai tumhaari tarz-o-ravish jaante hain ham kya hai raqeeb par hai agar lutf to sitam kya hai sukhun men khaama-e-ghalib ki aatish-afshaani yaqeen hai ham ko bhi lekin ab us men dam kya hai kate to shab kahein kaate to saanp kahlaave koi batao ki vo zulf-e-kham-b-kham kya hai likha kare koi ahkaam-e-taala-e-maulood kise khabar hai ki waan jumbish-e-qalam kya hai na hashr-o-nashr ka qaael na kesh. o millat ka KHuda ke vaaste aise ki phir qasam kya hai vo daad-o-deed garaan-maaya shart hai hamdam vagarna mehr-e-sulemaan-o-jaam-e-jam kya hai
Mirza Ghalib
1 likes
vo mirii cheen-e-jabeen se gham-e-pinhan samjha raaz-e-maktoob b-be-rabti-e-unwan samjha yak alif besh nahin saiqal-e-aaina hanooz chaak karta hooñ main jab se ki garebaan samjha sharh-e-asbaab-e-giraftaari-e-khaatir mat pooch is qadar tang hua dil ki main zindaan samjha bad-gumaani ne na chaaha use sargarm-e-khiraam rukh pe har qatra arq deeda-e-hairaan samjha izz se apne ye jaana ki vo bad-khoo hogaa nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozaan samjha safar-e-ishq men ki zof ne rahat-talbi har qadam saa.e ko main apne shabistaan samjha tha gurezaan miza-e-yaar se dil ta dam-e-marg daf-e-paikaan-e-qaza is qadar aasaan samjha dil diya jaan ke kyun us ko wafadar asad ghalti ki ki jo kaafir ko musalmaan samjha ham ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahaan men jun shama' sho'la-e-ishq ko apna sar-o-saamaan samjha
Mirza Ghalib
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







