ghazalKuch Alfaaz

jo banda-e-khuda tha khuda hone vaala hai kya kuchh abhi to jalva-numa hone vaala hai ye bhi durust hai ki payambar nahin huun main hai ye bhi sach ki mera kaha hone vaala hai kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr men jo ho chuka hai us se siva hone vaala hai vo vaqt hai ki khalq pe har zulm-e-na-rava allah ka naam le ke rava hone vaala hai ik khauf hai ki hone hi vaala hai ja-guzin ik khvab hai ki sab se juda hone vaala hai rang-e-hava men hai ajab asrar sa koi koi bhi janta nahin kya hone vaala hai khush tha siyah-khana-e-dil men bahut lahu is qaid se magar ye riha hone vaala hai ye tiir akhiri hai bas us ki kaman men aur vo bhi dekh lena khata hone vaala hai ik lahar hai ki mujh men uchhalne ko hai 'zafar' ik lafz hai ki mujh se ada hone vaala hai jo banda-e-khuda tha khuda hone wala hai kya kuchh abhi to jalwa-numa hone wala hai ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai wo waqt hai ki khalq pe har zulm-e-na-rawa allah ka nam le ke rawa hone wala hai ek khauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin ek khwab hai ki sab se juda hone wala hai rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai khush tha siyah-khana-e-dil mein bahut lahu is qaid se magar ye riha hone wala hai ye tir aakhiri hai bas us ki kaman mein aur wo bhi dekh lena khata hone wala hai ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar' ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zafar Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zafar Iqbal's ghazal.