ghazalKuch Alfaaz

jo bhi afwaah tha vo sach niklaa shor machna tha shor mach niklaa chip gaii baat haath katne ki KHoon mehn dii ke saath rach niklaa dukh to ye hai ki tere baare men jahaan se jo suna vo sach niklaa sochta hooñ vo ain mauqe' par kaise meri havas se bach niklaa

Related Ghazal

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

baat aisi hai aisa tha pahle dard hone pe rota tha pahle jaise chahe vo khela karta tha main kisi ka khilauna tha pahle tujhpe kitna bharosa karta tha KHud pe kitna bharosa tha pahle aakhiri raaste pe chalne ko pair usne uthaya tha pahle ab to tasveer tak nahin banti main to paikar banata tha pahle raushni aayi jab jala koi sabki aankhoñ pe parda tha pahle ginti peeche se ki gayi varna meraa number to pehla tha pahle

Himanshi babra KATIB

45 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

More from Kushal Dauneria

husn ik gulsitaan ka maali hai aankh shahtoot badan daali hai maine kuchh der udaasi hañs kar maari hai maar nahin daali hai saaj-o-shringaar se chamkaaya badan ek hi note vo bhi jaali hai

Kushal Dauneria

24 likes

jis shaam us..ko train men baitha ke aaya tha main us..ko uske pyaar se milva ke aaya tha uski basi basaai main duniya ujaad kar jo kha nahin sakaa use faila ke aaya tha mere naseeb men kahii baitha tumhaara dukh lagta tha jaise maa ki qasam kha ke aaya tha

Kushal Dauneria

26 likes

maine to bas mazaq men poocha KHaraab hai vo peer haath dekh ke bola kharaab hai har din use dikhaaya ki kitne shareef hain har raat uske baare men socha kharaab hai ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki aage ghulaam ke mira ikka kharaab hai azaad ladkiyon se bhalii qaid auratein matlab ki jheel theek hai dariyaa kharaab hai ham jis KHuda ki aas men baithe hain raat din vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai zyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua main jis diye ko bol raha tha kharaab hai

Kushal Dauneria

35 likes

vo jab band kamre men latka hua tha ye kis ko pata tha khilaadi mohabbat men bilkul naya tha ye kis ko pata tha ki un jaahilon ne use aadmi ki tarah bhi na rakha main bachpan se jis shaKHs ko poojta tha ye kis ko pata tha main jab tak use jeet lene ki taiyaariyaan kar raha tha vo tab tak kisi aur ka ho chuka tha ye kis ko pata tha

Kushal Dauneria

24 likes

bachi hai raushni jo bhi charaaghon se nikal jaa.e jo mere dil se niklaa hai duaon se nikal jaa.e ham aise log jo dushman ke rone par thehar jaayen vo aisa shaKHs jo apnon ki laashon se nikal jaa.e padaane ka agar matlab hai haathon se nikal jaana khudaaya phir mirii beti bhi haathon se nikal jaa.e vahii ik shaKHs tha meraa yahaañ par jee lagaane ko usii ko chahte the sab ki gaav se nikal jaa.e idhar to choo rahi hai jism meraa thande haathon se udhar vo chahti hai raat baaton se nikal jaa.e numaish baap ki daulat ki kar ke sochta tha main ki shaayad imtihaan-e-ishq paison se nikal jaa.e

Kushal Dauneria

25 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kushal Dauneria.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kushal Dauneria's ghazal.