jo yuun banae hain aurat namaz aur khushbu khuda ke saae hain aurat namaz aur khushbu vahan ki khaak kisi nuur se bani hogi jahan se aae hain aurat namaz aur khushbu bahut kathin hai samana zamin ke rangon men magar samae hain aurat namaz aur khushbu hua hai asr se maghhrib ke darmiyan ka vaqt faza pe chhae hain aurat namaz aur khushbu har ek chiiz kisi ne banai hogi magar bane banae hain aurat namaz aur khushbu jo kaenat ne dekhe nahin the pahle kabhi vo khvab laae hain aurat namaz aur khushbu jo yun banae hain aurat namaz aur khushbu khuda ke sae hain aurat namaz aur khushbu wahan ki khak kisi nur se bani hogi jahan se aae hain aurat namaz aur khushbu bahut kathin hai samana zamin ke rangon mein magar samae hain aurat namaz aur khushbu hua hai asr se maghrib ke darmiyan ka waqt faza pe chhae hain aurat namaz aur khushbu har ek chiz kisi ne banai hogi magar bane banae hain aurat namaz aur khushbu jo kaenat ne dekhe nahin the pahle kabhi wo khwab lae hain aurat namaz aur khushbu
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Maqsood Wafa.
Similar Moods
More moods that pair well with Maqsood Wafa's ghazal.







