ghazalKuch Alfaaz

junun ke haat ab main kya kahun dil sakht hairan hai gareban kar chuka huun nazr aage ab ye daman hai tujhe vajib hai jaana urs men apne shahidon ke suna huun main ki un ka aaj sandal kal charaghhan hai raha gar astan par aa ke main fart-e-aqidat se takalluf bartaraf sarkar ka kya is men nuqsan hai lage kyunkar na dil kunj-e-qafas men andalibon ka jahan men aj-kal abad gar kuchh hai to zindan hai nahin lazim hai dena haath se sheva tarahhum ka hui vaaqe 'zaka' se kuchh agar taqsir insan hai junun ke hat ab main kya kahun dil sakht hairan hai gareban kar chuka hun nazr aage ab ye daman hai tujhe wajib hai jaana urs mein apne shahidon ke suna hun main ki un ka aaj sandal kal charaghan hai raha gar aastan par aa ke main fart-e-aqidat se takalluf bartaraf sarkar ka kya is mein nuqsan hai lage kyunkar na dil kunj-e-qafas mein andalibon ka jahan mein aaj-kal aabaad gar kuchh hai to zindan hai nahin lazim hai dena hath se shewa tarahhum ka hui waqe 'zaka' se kuchh agar taqsir insan hai

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath

Tehzeeb Hafi

92 likes

ashq zaayaa' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main waha rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh par kitne ehsaan hai guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ke meraa humsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kata hai kahii vo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab men us..ko choo to leta tha magar rota na tha giriyo zaari ko bhi ek khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main waqt par rota na tha

Tehzeeb Hafi

85 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zaka Meer Aulad Mohammad Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zaka Meer Aulad Mohammad Khan's ghazal.