ghazalKuch Alfaaz

justuju jis ki thi us ko to na paaya ham ne is bahane se magar dekh li duniya ham ne sab ka ahval vahi hai jo hamara hai aaj ye alag baat ki shikva kiya tanha ham ne khud pashiman hue ne use sharminda kiya ishq ki vaza ko kya khuub nibhaya ham ne kaun sa qahr ye ankhon pe hua hai nazil ek muddat se koi khvab na dekha ham ne umr bhar sach hi kaha sach ke siva kuchh na kaha ajr kya is ka milega ye na socha ham ne justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne is bahane se magar dekh li duniya hum ne sab ka ahwal wahi hai jo hamara hai aaj ye alag baat ki shikwa kiya tanha hum ne khud pashiman hue ne use sharminda kiya ishq ki waza ko kya khub nibhaya hum ne kaun sa qahr ye aankhon pe hua hai nazil ek muddat se koi khwab na dekha hum ne umr bhar sach hi kaha sach ke siwa kuchh na kaha ajr kya is ka milega ye na socha hum ne

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahryar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahryar's ghazal.