kaam is duniya men aa kar ham ne kya achchha kiya husn ko be-parda nam-e-ishq ko rusva kiya husn ne aur ishq ne hangama ik barpa kiya shama ko raushan kiya parvane ko shaida kiya be-tamannai men asuda tha yarab kya kiya kis liye mere dil-e-divana ko daana kiya ek jazba tha azal se gosha-e-dil men nihan ishq ko is husn ke bazar ne rusva kiya teri qismat ka navishta tha kisi ka kya qusur tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya naar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab ikhtiyar khaak ko bakhsha sharaf yaani bashar paida kiya dil ko parvana banaya kar diya jaan ko nisar shama-ru ke ishq men ham kya kahen kya kya kiya jo kiya hukm-e-qaza se ham ne 'sahir' tha baja ham ne apni raae se jo kuchh kiya be-ja kiya kaam is duniya mein aa kar hum ne kya achchha kiya husn ko be-parda nam-e-ishq ko ruswa kiya husn ne aur ishq ne hangama ek barpa kiya shama ko raushan kiya parwane ko shaida kiya be-tamannai mein aasuda tha yarab kya kiya kis liye mere dil-e-diwana ko dana kiya ek jazba tha azal se gosha-e-dil mein nihan ishq ko is husn ke bazar ne ruswa kiya teri qismat ka nawishta tha kisi ka kya qusur tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya nar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab ikhtiyar khak ko bakhsha sharaf yani bashar paida kiya dil ko parwana banaya kar diya jaan ko nisar shama-ru ke ishq mein hum kya kahen kya kya kiya jo kiya hukm-e-qaza se hum ne 'sahir' tha baja hum ne apni rae se jo kuchh kiya be-ja kiya
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sahir Dehlavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sahir Dehlavi's ghazal.







