kaash is khel men tu mere barabar aata main tujhe choom ke maidaan se baahar aata kam na padtii kabhi mujhko teri aankhoñ ki sabeel zindagi bhar isee darbaar se langar aata tum bahut pahle palat aa.e mere sehraa se tum ise paar jo karte to samundar aata meri aankhoñ men kabhi aata tere naam ka ashq meri chat par bhi teri chat se kabootar aata kabhi aawaaz to de yaar ha men mushkil men aur phir dekh madad ke li.e lashkar aata
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Zahid Bashir
kuchh pata hi nahin chal raha zindagi kis taraf ja rahi hai teraa ghar kis taraf hai magar ye gali kis taraf ja rahi hai ek chehra achaanak chamakne laga hai mazaafat men chaand ko bhi pata hai meri raushni kis taraf ja rahi hai baag se kuchh muqaddam hamaara bhi tha ab nahin hai to kya jaante hai ye phoolon bharii tokri kis taraf ja rahi hai
Zahid Bashir
8 likes
kis tarah hogaa fakeeron ka guzaara soche usse kehna ki vo ik baar dobaara soche kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche tere aflaak pe jaa.e to sitaara chamke mere aflaak pe aaye to sitaara soche toote patwaar ki kashtii ka muqaddar kya hai ye to dariyaa hi bataaye ya kinaara soche aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche
Zahid Bashir
40 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zahid Bashir.
Similar Moods
More moods that pair well with Zahid Bashir's ghazal.







