ghazalKuch Alfaaz

kaash is sadma-e-paiham ka janaza utthe aisa kuchh ho ki mire ghham ka janaza utthe ashk barsao manao use ta-ki us se atish-e-hijr ke mausam ka janaza utthe alam-e-ghham men bhi 'alam ki padi hai mujh ko chahta huun ghham-e-‘alam ka janaza utthe us ki khvahish hai nae rishte ko ab dafn karen yaani main tum hi rahen ham ka janaza utthe aap misra' to uthaen bahut uncha lekin aise mat gaaen ki sargam ka janaza utthe fikr mayyit ki tumhen hai to du'a ye bhi karo jism se pahle mire dam ka janaza utthe sirf almari se ghar ki nahin chalta 'gauhar' dil se bhi yadon ke album ka janaza utthe kash is sadma-e-paiham ka janaza utthe aisa kuchh ho ki mere gham ka janaza utthe ashk barsao manao use ta-ki us se aatish-e-hijr ke mausam ka janaza utthe aalam-e-gham mein bhi 'alam ki padi hai mujh ko chahta hun gham-e-‘alam ka janaza utthe us ki khwahish hai nae rishte ko ab dafn karen yani main tum hi rahen hum ka janaza utthe aap misra' to uthaen bahut uncha lekin aise mat gaen ki sargam ka janaza utthe fikr mayyit ki tumhein hai to du'a ye bhi karo jism se pahle mere dam ka janaza utthe sirf almari se ghar ki nahin chalta 'gauhar' dil se bhi yaadon ke album ka janaza utthe

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Moeen Gauhar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Moeen Gauhar's ghazal.