kab yaad men tera saath nahin kab haat men tera haat nahin sad-shukr ki apni raton men ab hijr ki koi raat nahin mushkil hain agar halat vahan dil bech aaen jaan de aaen dil vaalo kucha-e-janan men kya aise bhi halat nahin jis dhaj se koi maqtal men gaya vo shaan salamat rahti hai ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin maidan-e-vafa darbar nahin yaan nam-o-nasab ki puchh kahan ashiq to kisi ka naam nahin kuchh ishq kisi ki zaat nahin gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do dar kaisa gar jiit gae to kya kahna haare bhi to baazi maat nahin kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin mushkil hain agar haalat wahan dil bech aaen jaan de aaen dil walo kucha-e-jaanan mein kya aise bhi haalat nahin jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahti hai ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin maidan-e-wafa darbar nahin yan nam-o-nasab ki puchh kahan aashiq to kisi ka nam nahin kuchh ishq kisi ki zat nahin gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa gar jit gae to kya kahna haare bhi to bazi mat nahin
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain ham kuchh imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi koo-e-sitam men sab ko KHafaa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen feeka hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye sau baar un ki khoo ka gilaa kar chuke hain ham
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
sabhi kuchh hai teraa diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten ye sukhun jo ham ne raqam ki.e ye hain sab varq tiri yaad ke koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil men kyana kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr men ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein mirii jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne kisi apne kal men bhi bhool kar kahii likh rakhi hon masarratein
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







