kaha main ne miri ankhon men paani hai javab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai javab aaya ye jazba javedani hai kaha main ne khilenge kab vafa ke phuul javab aaya abhi mausam khizani hai kaha main ne mohabbat mehvar-e-hasti javab aaya bala-e-na-gahani hai kaha main ne ki har lamha sisakta huun javab aaya ki ulfat to nibhani hai kaha main ne sitam itna nahin achchha javab aaya mohabbat azmani hai kaha main ne mata-e-zist yaani tu javab aaya yahan har chiiz faani hai kaha main ne ki dekh in surkh ankhon men javab aaya mohabbat asmani hai kaha main ne ki kyon itne gurezan ho javab aaya tumhari mehrbani hai kaha main ne miri ghhazlon ki jaan ho tum javab aaya tumhari khush-gumani hai kaha main ne khamoshi maar dalegi javab un ka mukammal be-zabani hai kaha main ne sunao hal-e-dil 'raghhib' javab aaya bahut lambi kahani hai kaha main ne meri aankhon mein pani hai jawab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai jawab aaya ye jazba jawedani hai kaha main ne khilenge kab wafa ke phul jawab aaya abhi mausam khizani hai kaha main ne mohabbat mehwar-e-hasti jawab aaya bala-e-na-gahani hai kaha main ne ki har lamha sisakta hun jawab aaya ki ulfat to nibhani hai kaha main ne sitam itna nahin achchha jawab aaya mohabbat aazmani hai kaha main ne mata-e-zist yani tu jawab aaya yahan har chiz fani hai kaha main ne ki dekh in surkh aankhon mein jawab aaya mohabbat aasmani hai kaha main ne ki kyon itne gurezan ho jawab aaya tumhaari mehrbani hai kaha main ne meri ghazlon ki jaan ho tum jawab aaya tumhaari khush-gumani hai kaha main ne khamoshi mar dalegi jawab un ka mukammal be-zabani hai kaha main ne sunao haal-e-dil 'raghib' jawab aaya bahut lambi kahani hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Raghib.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Raghib's ghazal.







