kaha ye main ne ki apni ankhon men khvab rakhna kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna ye main ne puchha tha log kyuun mar rahe hain itne javab aaya tum un ke khuun ka hisab rakhna kaha ye main ne zamin par amn ho sakega kaha ki hathon men 'ilm rakhna kitab rakhna kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna kaha ye main ne havaen hain tund-o-tez kitni vo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna kaha ye us ne ki bhiid men ham bichhad na jaaen kaha ki juude men ek taaza gulab rakhna kaha ye us ne ki ham agar sach ka saath den to kaha ye main ne ki zakhm sahne ki taab rakhna kaha ye main ne ki apni aankhon mein khwab rakhna kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne jawab aaya tum un ke khun ka hisab rakhna kaha ye main ne zamin par amn ho sakega kaha ki hathon mein 'ilm rakhna kitab rakhna kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna kaha ye us ne ki bhid mein hum bichhad na jaen kaha ki jude mein ek taza gulab rakhna kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to kaha ye main ne ki zakhm sahne ki tab rakhna
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munir Anwar.
Similar Moods
More moods that pair well with Munir Anwar's ghazal.







