kahin chand rahon men kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai main charaghh vo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai miri dastan ka uruuj tha tiri narm palkon ki chhanv men mire saath tha tujhe jagna tiri aankh kaise jhapak gai bhala ham mile bhi to kya mile vahi duriyan vahi fasle na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijak gai tire haath se mere hont tak vahi intizar ki pyaas hai mire naam ki jo sharab thi kahin raste men chhalak gai tujhe bhuul jaane ki koshishen kabhi kamyab na ho sakin tiri yaad shakh-e-gulab hai jo hava chali to lachak gai kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijak gai tere hath se mere hont tak wahi intizar ki pyas hai mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
More from Bashir Badr
jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko
Bashir Badr
1 likes
khaandaani rishton men akshar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut apne college men bahut maghroor jo mashhoor hai dil mira kahtaa hai us ladki men chaahat hai bahut un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe jin ghareebon ke yahaañ husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan ishq ki deewaar ke saa.e men raahat hai bahut dhoop ki chadar mire suraj se kehna bhej de gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahaan sahmi hui thii ye zameen raat se tanhaa lada jugnoo men himmat hai bahut
Bashir Badr
2 likes
kisi ki yaad men palken zaraa bhigo lete udaas raat ki tanhaaiyon men ro lete dukhon ka bojh akelaa nahin sambhalta hai kahii vo milta to us se lipt ke ro lete agar safar men hamaara bhi hum-safar hota badi khushi se unhi pattharon pe so lete tumhaari raah men shaakhon pe phool sookh ga.e kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete ye kya ki roz vahii chaandni ka bistar ho kabhi to dhoop ki chadar bichha ke so lete
Bashir Badr
13 likes
jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha sehra men koi laala-e-sehra khila na tha do jheelein us ki aankhoñ men lahara ke so gaeeinus vaqt meri umr ka dariyaa chadha na tha jaagi na theen nason men tamannaa ki naaginenus gandumee sharaab ko jab tak chakha na tha dhoonda karo jahaan-e-tahayyur men umr bhar vo chalti phirti chaanv hai main ne kaha na tha ik be-vafa ke saamne aañsu behaate ham itnaa hamaari aankh ka paani mara na tha vo kaale hont jaam samajh kar chadha ga.e vo aab jis se main ne wuzoo tak kiya na tha sab log apne apne KHudaaon ko laaye the ek ham aise the ki hamaara KHuda na tha vo kaali aañkhen shahar men mashhoor theen bahut tab un pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha main saahib-e-ghazal tha haseenon ki bazm men sar par ghanere baal the maatha khula na tha
Bashir Badr
3 likes
she'r mere kahaan the kisi ke li.e maine sab kuchh likha hai tumhaare li.e apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe ham ji.e bhi to ik doosre ke li.e hum-safar ne mira saath chhodaa nahin apne aañsu diye raaste ke li.e is haveli men ab koii rehta nahin chaand niklaa kise dekhne ke li.e zindagi aur main do alag to nahin main ne sab phool kaate isi se li.e shahar men ab mira koii dushman nahin sab ko apna liya maine tere li.e zehan men titliyan ud rahi hain bahut koii dhaaga nahin baandhne ke li.e ek tasveer ghazalon men aisi banii agle pichhle zamaanon ke chehre li.e
Bashir Badr
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







