ghazalKuch Alfaaz

kahin shoala kahin shabnam, kahin khushbu dil par vo saman-bu hai bahar-rang bahar-su dil par chaman-e-ruh se khushbu-e-badan aati hai jaan par mauja-e-lab nafha-e-gesu dil par dil ko khud hausla-e-kar-e-fusun-sazi hai ki chala tha na chala hai koi jaadu dil par lazzat-e-did khuda jaane kahan le jaae aankh hoti hai to hota nahin qaabu dil par ye tahayyur hai ki nazzara ki afsun-e-jamal samne paikar-e-ahu ram-e-ahu dil par is kashakash men kahan jaan ke liye ja-e-aman dil hai mehrab-e-haram main kham-e-abru dil par jaan tah-e-chashm ki yuun sair-o-tamasha hi sahi koi mahtab nazar men koi mah-ru dil par kahin shoala kahin shabnam, kahin khushbu dil par wo saman-bu hai bahar-rang bahar-su dil par chaman-e-ruh se khushbu-e-badan aati hai jaan par mauja-e-lab nafha-e-gesu dil par dil ko khud hausla-e-kar-e-fusun-sazi hai ki chala tha na chala hai koi jadu dil par lazzat-e-did khuda jaane kahan le jae aankh hoti hai to hota nahin qabu dil par ye tahayyur hai ki nazzara ki afsun-e-jamal samne paikar-e-ahu ram-e-ahu dil par is kashakash mein kahan jaan ke liye ja-e-aman dil hai mehrab-e-haram main kham-e-abru dil par jaan tah-e-chashm ki yun sair-o-tamasha hi sahi koi mahtab nazar mein koi mah-ru dil par

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga kisi se mil ke bahut der baad achha laga tumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghair batao phir tumhein meraa mazaak kaisa laga tijoriyon pe nazar aur log rakhte hain main aasmaan chura loonga jab bhi mauqa laga dikhaati hai bharii almaariyaan bade dil se bataati hai ki mohabbat men kiska kitna laga

Tehzeeb Hafi

94 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Syed Amin Ashraf.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Syed Amin Ashraf's ghazal.