ghazalKuch Alfaaz

kahii na aisa ho apna vaqaar kha jaa.e khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaa.e hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hogaa bhala jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaa.e palat ke sang tiri aur fenk saka hooñ ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaa.e usii ka daakhila is dasht men karo ab se jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaa.e bahut qaraar hai thodii si be-qaraari de kahii na aisa ho mujh ko qaraar kha jaa.e ajab safeena hai ye vaqt ka safeena bhi jo apni god men baitha sawaar kha jaa.e

Varun Anand11 Likes

Related Ghazal

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara

Kushal Dauneria

67 likes

More from Varun Anand

ye shokhiyaan ye jawaani kahaan se laayein ham tumhaare husn ka saani kahaan se laayein ham mohabbatein vo puraani kahaan se laayein ham ruki nadi men ravaani kahaan se laayein ham hamaari aankh hai paivast ek sehra men ab aisi aankh men paani kahaan se laayein ham har ek lafz ke maani talashte ho tum har ek lafz ka maani kahaan se laayein ham chalo bataa den zamaane ko apne baare men ki roz jhooti kahaanii kahaan se laayein ham

Varun Anand

13 likes

KHud apne KHoon men pahle nahaaya jaata hai vaqaar KHud nahin banta banaya jaata hai kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den to haal dil ka shajar ko sunaaya jaata hai hamaari pyaas ko zanjeer baandhi jaati hai tumhaare vaaste dariyaa bahaaya jaata hai nawaazta hai vo jab bhi azeezon ko apne to sab se baa'd men ham ko bulaayaa jaata hai humeen talash ke dete hain raasta sab ko humeen ko baa'd men raasta dikhaaya jaata hai

Varun Anand

9 likes

marham ke nahin hain ye taraf-daar namak ke nikle hain mire zakham talabgaar namak ke aaya koi sailaab kahaanii men achaanak aur ghul ga.e paani men vo kirdaar namak ke dono hi kinaaron pe thii beemaaron ki majlis is paar the meethe ke to us paar namak ke us ne hi diye zakham ye gardan pe hamaari phir us ne hi pahnaaye ha men haar namak ke kahti thii ghazal mujh ko hai marham ki zaroorat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti theen zaKHmon ki dawaayein sunte hain ki ab hain vahaañ bazaar namak ke

Varun Anand

9 likes

isi li.e to musaafir tu sogwaar nahin ki tune qafile dekhe hain par gubaar nahin nahin ye baat nahin hai ki tujh se pyaar nahin main kya karoon ki mujhe KHud ka etibaar nahin laga hooñ haath jo tere to ab sanbhaal mujhe main ek baar hi milta hooñ baar-baar nahin mujhe kuredne waalo main ek sehra hooñ ki mujhse ret hi niklegi aabshaar nahin gamon se rishta banaa dosti nibha insey dukhon ko paal meri jaan inko maar nahin mire qubool pe usne qubool kah to diya par ek baar kaha usne teen baar nahin jahaan tu bichhda vahaañ geet baj raha tha yahii mire naseeb men ai dost teraa pyaar nahin

Varun Anand

20 likes

bhale na jald ho taakheer se muhabbat ho magar jo ho to kisi heer se muhabbat ho phir uske paanv ko bhaate nahin hain ghunghroo bhi vo jiske paanv ko zanjeer se muhabbat ho kisi kamaan ki nazrein ho mire seene par mire bhi dil ko kisi teer se muhabbat ho vo raqs karte hue maqtalon ko badhte hain ki jinko yaar ki shamsheer se muhabbat ho KHuda kare ke tujhe aib shayari ka lage tujhe bhi meer taqi meer se muhabbat ho vo aankh sone ki deewaar dekhti hi nahin ki jis..ko aapki tasveer se muhabbat ho

Varun Anand

16 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Varun Anand.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Varun Anand's ghazal.