kahte hain iid hai aaj apni bhi iid hoti ham ko agar mayassar janan ki diid hoti qimat men did-e-rukh ki ham naqd-e-jan lagate bazar-e-naz lagta dil ki kharid hoti kuchh apni baat kahte kuchh mera haal sunte naz-o-niyaz ki yuun guft-o-shunid hoti jalve dikhate jaate vo tarz-e-dilbari ke aur dil men yaan hava-e-naz-e-mazid hoti teghh-e-nazar se dil par vo vaar karte jaate aur lab pe yaan sada-e-hal-mim-mazid hoti abru se un ke ghhamza tir-e-ada lagata ye dil qatil hota ye jaan shahid hoti kuchh hausla badhata andaz-e-lutf-e-janan kuchh daghhdaghha sa hota kuchh kuchh umiid hoti kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti qimat mein did-e-rukh ki hum naqd-e-jaan lagate bazar-e-naz lagta dil ki kharid hoti kuchh apni baat kahte kuchh mera haal sunte naz-o-niyaz ki yun guft-o-shunid hoti jalwe dikhate jate wo tarz-e-dilbari ke aur dil mein yan hawa-e-naz-e-mazid hoti tegh-e-nazar se dil par wo war karte jate aur lab pe yan sada-e-hal-mim-mazid hoti abru se un ke ghamza tir-e-ada lagata ye dil qatil hota ye jaan shahid hoti kuchh hausla badhata andaz-e-lutf-e-jaanan kuchh daghdagha sa hota kuchh kuchh umid hoti
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ghulam Bhik Nairang.
Similar Moods
More moods that pair well with Ghulam Bhik Nairang's ghazal.







