kaise keh duun ki be-qarar huun main khud se lipti hui bahar huun main mujh se vabasta hai dayar-e-dil 'ahd-e-mazi ki yadgar huun main vo na hota to surkh-ru hota us ke hone se sharmsar huun main jo rafiq-e-safar sa lagta hai raste ka vahi ghhubar huun main ek muddat se huun main thahra hua dekhne men to abshar huun main 'ishq huun ghhaur se mujhe dekho jo na utre vahi khumar huun main halat-e-dil tire tavassut se ab-dida huun ashk-bar huun main khush-gumani hai aur kuchh bhi nahin kishvar-e-dil ka tajdar huun main kaise keh dun ki be-qarar hun main khud se lipti hui bahaar hun main mujh se wabasta hai dayar-e-dil 'ahd-e-mazi ki yaadgar hun main wo na hota to surkh-ru hota us ke hone se sharmsar hun main jo rafiq-e-safar sa lagta hai raste ka wahi ghubar hun main ek muddat se hun main thahra hua dekhne mein to aabshaar hun main 'ishq hun ghaur se mujhe dekho jo na utre wahi khumar hun main haalat-e-dil tere tawassut se aab-dida hun ashk-bar hun main khush-gumani hai aur kuchh bhi nahin kishwar-e-dil ka tajdar hun main
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Noorain Faizabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Noorain Faizabadi's ghazal.







