ghazalKuch Alfaaz

karta hai koi aur bhi girya mire dil men rahta hai koi aur bhi mujh sa mire dil men vo mil gaya phir bhi ye lagatar udasi shayad hai koi aur bhi dhadka mire dil men ik ranj men duuba hua be-nam musafir aaya tha badi duur se thahra mire dil men jis shaam ko bhule hue ik umr hui thi chamka hai usi shaam ka taara mire dil men ik huuk si uthti hai sar-e-bam-e-tamanna vo meri khushi se kabhi rahta mire dil men aae hain yahan tak to chalo us se bhi mil len ye dhyan bhi ik baar to aaya mire dil men jis aag ko kahte hain qayamat se nahin kam bahta hai usi aag ka dariya mire dil men karta hai koi aur bhi girya mere dil mein rahta hai koi aur bhi mujh sa mere dil mein wo mil gaya phir bhi ye lagatar udasi shayad hai koi aur bhi dhadka mere dil mein ek ranj mein duba hua be-nam musafir aaya tha badi dur se thahra mere dil mein jis sham ko bhule hue ek umr hui thi chamka hai usi sham ka tara mere dil mein ek huk si uthti hai sar-e-baam-e-tamanna wo meri khushi se kabhi rahta mere dil mein aae hain yahan tak to chalo us se bhi mil len ye dhyan bhi ek bar to aaya mere dil mein jis aag ko kahte hain qayamat se nahin kam bahta hai usi aag ka dariya mere dil mein

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sabir Waseem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sabir Waseem's ghazal.