ghazalKuch Alfaaz

kashtii bhi nahin badli dariyaa bhi nahin badla aur doobne waalon ka jazba bhi nahin badla tasveer nahin badli sheesha bhi nahin badla nazrein bhi salaamat hain chehra bhi nahin badla hai shauk-e-safar aisa ik umr se yaaron ne manzil bhi nahin paai rastaa bhi nahin badla bekar gaya ban men sona mira sadiyon ka is shahar men to ab tak sikka bhi nahin badla be-samt hawaon ne har lehar se saazish ki KHvaabon ke jazeera ka naqsha bhi nahin badla

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Ghulam Mohammad Qasir

ban men veeraan thii nazar shahar men dil rota hai zindagi se ye mira doosra samjhauta hai lahlahaate hue KHvaabon se mirii aankhoñ tak ratjage kasht na kar le to vo kab sota hai jis ko is fasl men hona hai barabar ka shareek mire ehsaas men tanhaaiyaan kyun bota hai naam likh likh ke tira phool banaane vaala aaj phir shabnameen aankhoñ se varq dhota hai tere bakshe hue ik gham ka karishma hai ki ab jo bhi gham ho mire meyaar se kam hota hai so ga.e shahr-e-mohabbat ke s abhii daagh o charaaghh ek saaya pas-e-deewaar abhii rota hai ye bhi ik rang hai shaayad mirii mehroomi ka koi hañs de to mohabbat ka gumaan hota hai

Ghulam Mohammad Qasir

1 likes

pahle ik shaKHs meri zaat banaa aur phir poori kaayenaat banaa husn ne KHud kaha musavvir se paanv par mere koi haath banaa pyaas ki saltanat nahin mitati laakh dajle banaa furaat banaa gham ka suraj vo de gaya tujh ko chahe ab din banaa ki raat banaa she'r ik mashghala tha qasir ka ab yahii maqsd-e-hayaat banaa

Ghulam Mohammad Qasir

2 likes

akela din hai koi aur na tanhaa raat hoti hai main jis pal se guzarta hooñ mohabbat saath hoti hai tiri awaaz ko is shahar ki lahren tarasti hain galat number milaata hooñ to paharon baat hoti hai saroon par khof-e-ruswaai ki chadar taan lete ho tumhaare vaaste rangon ki jab barsaat hoti hai kahii chidiyaan chahakti hain kahii kaliyaan chatkati hain magar mere makaan se aasmaañ tak raat hoti hai kise aabaad samjhoon kis ka shahr-aashob likhoon main jahaan shehron ki yaksaan soorat-e-haalat hoti hai

Ghulam Mohammad Qasir

2 likes

baghair us ke ab aaraam bhi nahin aata vo shaKHs jis ka mujhe naam bhi nahin aata usii ki shakl mujhe chaand men nazar aa.e vo maah-rukh jo lab-e-baam bhi nahin aata karunga kya jo mohabbat men ho gaya naakaam mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata bitha diya mujhe dariyaa ke us kinaare par jidhar hubaab tahee-jaam bhi nahin aata chura ke KHvaab vo aankhoñ ko rehan rakhta hai aur us ke sar koi ilzaam bhi nahin aata

Ghulam Mohammad Qasir

4 likes

nazar nazar men ada-e-jamaal rakhte the ham ek shaKHs ka kitna khayal rakhte the jabeen pe aane na dete the ik shikan bhi kabhi agarche dil men hazaaron malaal rakhte the khushi usii ki hamesha nazar men rahtii thii aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the bas ishtiyaq-e-takallum men baar-ha ham log javaab dil men zabaan par sawaal rakhte the usii se karte the ham roz o shab ka andaaza zameen pe rah ke vo suraj ki chaal rakhte the junoon ka jaam mohabbat ki may khird ka khumaar humeen the vo jo ye saare kamaal rakhte the chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se mohabbaton ke urooj o zawaal rakhte the kuchh un ka husn bhi tha maavra misaalon se kuchh apna ishq bhi ham be-misaal rakhte the KHataa nahin jo khile phool raah-e-sarsar men ye jurm hai ki vo fikr-e-maal rakhte the

Ghulam Mohammad Qasir

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ghulam Mohammad Qasir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ghulam Mohammad Qasir's ghazal.