ghazalKuch Alfaaz

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghhaib siin kya hava ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihal-e-ghham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghhaful-e-yar ka gila kis zaban siin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil men thi so bhari rahi vo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi tire josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar siin yahan hua ki na aaine men rahi jila na pari kuun jalvagari rahi kiya khaak atish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kuun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

abhii ik shor sa utha hai kahii koi KHaamosh ho gaya hai kahii hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahii tujh ko kya ho gaya ki cheezein ko kahii rakhta hai dhoondhta hai kahii jo yahaañ se kahii na jaata tha vo yahaañ se chala gaya hai kahii aaj shamshaan ki si boo hai yahaañ kya koi jism jal raha hai kahii ham kisi ke nahin jahaan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahii tu mujhe dhundh main tujhe dhundhun koi ham men se rah gaya hai kahii kitnii vehshat hai darmiyaan-e-hujoom jis ko dekho gaya hua hai kahii main to ab shahar men kahii bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahii

Jaun Elia

40 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Siraj Aurangabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Siraj Aurangabadi's ghazal.