ghazalKuch Alfaaz

khade hain muusa uthao parda dikhao tum ab-o-tab-e-ariz hijab kyuun hai ki khud tajalli bani hui hai hijab-e-ariz na ruk sakegi ziya-e-ariz jo sadd-e-rah ho naqab-e-ariz vo hogi be-parda rakh ke parda ghhazab ki chanchal hai tab-e-ariz chhupa na munh donon haath se yuun tadapti hai barq-e-tab-e-ariz laga na de aag ungliyon men ye garmi-e-iztirab-e-ariz jo un ko lipta ke gaal chuma haya se aane laga pasina hui hai boson ki garm bhatti khinche na kyuun kar sharab-e-ariz pari jo dekhe kahe tadap kar jo huur dekhe kahe phadak kar tumhara gesu javab-e-gesu tumhara 'ariz javab-e-ariz huzur ghunghat utha ke aaen badi chamak kis men hai dikhaen idhar rahe aftab-e-mahshar udhar rahe aftab-e-ariz chhupana kya ek ka tha manzur aaj tak hain jo chaar mashhur zabur tauret mushaf injil panchvin hai kitab-e-ariz na kyuun ho da'va barabari ka vahan mila til yahan suvaida ye nuqta-e-intikhab-e-ariz hai vo nuqta-e-intikhab-e-ariz pada huun ghhash men mujhe sungha do pasina chehre ka zulf ki bu nahin hai kam lakhlakhe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulab-e-ariz jo shoala-ru munh chhupa ke nikla dhuan sar-e-rah kuchh kuchh uttha lagi vo atish bane hai jal kar naqab-e-ariz kabab-e-ariz na jhepo subh-e-visal dekho tum aankh se aankh to milao liye hain gin gin ke main ne bose zaban par hai hisab-e-ariz karo na ghhusse se laal chehra bhavon men daalo na bal khudara nahin majal-e-jalal-e-abru nahin hai tab-e-itab-e-ariz jo gaal par gaal ham rakhenge shab-e-visal un ke haath uthenge tamanche marenge pyaar se vo bajengge chang-o-rubab-e-ariz kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visal men lutf de raha hai shabab-e-zanu shabab-e-bazu shabab-e-sina shabab-e-ariz janab-e-'mail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat men hoga kamil padhao quran ke badle is ko bayaz-e-gardan kitab-e-ariz khade hain musa uthao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz hijab kyun hai ki khud tajalli bani hui hai hijab-e-ariz na ruk sakegi ziya-e-ariz jo sadd-e-rah ho naqab-e-ariz wo hogi be-parda rakh ke parda ghazab ki chanchal hai tab-e-ariz chhupa na munh donon hath se yun tadapti hai barq-e-tab-e-ariz laga na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztirab-e-ariz jo un ko lipta ke gal chuma haya se aane laga pasina hui hai boson ki garm bhatti khinche na kyun kar sharab-e-ariz pari jo dekhe kahe tadap kar jo hur dekhe kahe phadak kar tumhaara gesu jawab-e-gesu tumhaara 'ariz jawab-e-ariz huzur ghunghat utha ke aaen badi chamak kis mein hai dikhaen idhar rahe aaftab-e-mahshar udhar rahe aaftab-e-ariz chhupana kya ek ka tha manzur aaj tak hain jo chaar mashhur zabur tauret mushaf injil panchwin hai kitab-e-ariz na kyun ho da'wa barabari ka wahan mila til yahan suwaida ye nuqta-e-intikhab-e-ariz hai wo nuqta-e-intikhab-e-ariz pada hun ghash mein mujhe sungha do pasina chehre ka zulf ki bu nahin hai kam lakhlakhe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulab-e-ariz jo shoala-ru munh chhupa ke nikla dhuan sar-e-rah kuchh kuchh uttha lagi wo aatish bane hai jal kar naqab-e-ariz kabab-e-ariz na jhepo subh-e-visal dekho tum aankh se aankh to milao liye hain gin gin ke main ne bose zaban par hai hisab-e-ariz karo na ghusse se lal chehra bhawon mein dalo na bal khudara nahin majal-e-jalal-e-abru nahin hai tab-e-itab-e-ariz jo gal par gal hum rakhenge shab-e-visal un ke hath uthenge tamanche marenge pyar se wo bajengge chang-o-rubab-e-ariz kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visal mein lutf de raha hai shabab-e-zanu shabab-e-bazu shabab-e-sina shabab-e-ariz janab-e-'mail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hoga kaamil padhao quran ke badle is ko bayaz-e-gardan kitab-e-ariz

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Husain Mail.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Husain Mail's ghazal.