kisi ki marzi ko apni qismat banaa chuke hain ham apne haathon ki sab lakeeren mita chuke hain chalo samandar ki wusaaton men sukoon dhundhe ki sahilon par bahut gharonde banaa chuke hain unhin chhato se hamaare aangan men maut barsi vahii chaten jin se ham patange uda chuke hain
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara
Kushal Dauneria
67 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
More from Meraj Faizabadi
tere baare men jab socha nahin tha main tanhaa tha magar itnaa nahin tha teri tasveer se karta tha baatein mere kamre men aaina nahin tha samundar ne mujhe pyaasa hi rakkha main jab sehra men tha pyaasa nahin tha manaane roothne ke khel men ham bichhad jaayenge ye socha nahin tha suna hai band kar leen usne aañkhen kaii raaton se vo soya nahin tha
Meraj Faizabadi
2 likes
zindagi dii hai to jeene ka hunar bhi dena paanv bakhshen hain to taufeeq-e-safar bhi dena guftugoo tu ne sikhaai hai ki main goonga tha ab main boloonunga to baaton men asar bhi dena main to is khaana-badoshi men bhi KHush hooñ lekin agli naslein to na bhatkein unhen ghar bhi dena zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jaayeus ko khanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena
Meraj Faizabadi
23 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meraj Faizabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Meraj Faizabadi's ghazal.







