ghazalKuch Alfaaz

kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah vo aashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah kise khabar thii badhegi kuchh aur taarikee chhupega vo kisi badli men chaandni ki tarah badha ke pyaas mirii us ne haath chhod diya vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah sitam to ye hai ki vo bhi na ban sakaa apna qubool ham ne ki.e jis ke gham khushi ki tarah kabhi na socha tha ham ne qatil us ke li.e karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah

Related Ghazal

chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha

Kushal Dauneria

54 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

More from Qateel Shifai

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

khula hai jhooth ka bazaar aao sach boleinna ho bala se khareedaar aao sach bolein sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par yahii hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein ha men gawaah banaya hai vaqt ne apna b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein suna hai vaqt ka haakim badaa hi munsif hai pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein tamaam shahar men kya ek bhi nahin mansoor kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen men nahin kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein jo wasf ham men nahin kyun karen kisi men talash agar zameer hai bedaar aao sach bolein chhu paa.e se kahii chhupte hain daagh chehre ke nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein qatil jin pe sadaa pattharon ko pyaar aaya kidhar ga.e vo gunahgaar aao sach bolein

Qateel Shifai

0 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

pareshaan raat saari hai sitaaro tum to so jaao sukoot-e-marg taari hai sitaaro tum to so jaao hanso aur hansate-hansate doobte jaao khalaon men humeen pe raat bhari hai sitaaro tum to so jaao ha men to aaj ki shab pau fate tak jaagna hogaa yahii qismat hamaari hai sitaaro tum to so jaao tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye baazi ham ne haari hai sitaaro tum to so jaao kahe jaate ho ro ro kar hamaara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaaro tum to so jaao ha men bhi neend aa jaayegi ham bhi so hi jaayenge abhii kuchh be-qaraari hai sitaaro tum to so jaao

Qateel Shifai

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.