ghazalKuch Alfaaz

kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah vo ashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki chhupega vo kisi badli men chandni ki tarah badha ke pyaas miri us ne haath chhod diya vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah sitam to ye hai ki vo bhi na ban saka apna qubul ham ne kiye jis ke ghham khushi ki tarah kabhi na socha tha ham ne 'qatil' us ke liye karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki chhupega wo kisi badli mein chandni ki tarah badha ke pyas meri us ne hath chhod diya wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna qubul hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Qateel Shifai

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

vo shaKHs ki main jis se mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta pakda hi gaya hooñ to mujhe daar pe kheencho saccha hooñ magar apni vakaalat nahin karta kyun bakhsh diya mujh se gunahgaar ko maula munsif to kisi se bhi ri'ayat nahin karta ghar waalon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malaamat nahin karta kis qaum ke dil men nahin jazbaat-e-ibrahim kis mulk pe namrood hukoomat nahin karta dete hain ujaale mire sajdon ki gawaahi main chhup ke andhere men ibadat nahin karta bhoola nahin main aaj bhi aadaab-e-jawaani main aaj bhi auron ko naseehat nahin karta insaan ye samjhen ki yahaañ dafn KHuda hai main aise mazaaron ki ziyaarat nahin karta duniya men qatil us sa munaafiq nahin koi jo zulm to sahta hai baghaavat nahin karta

Qateel Shifai

8 likes

kya is ka gilaa kijeye use pyaar hi kab tha vo ahad-e-faramosh wafadar hi kab tha us ne to sadaa pooje hain udte hue jugnoo vo chaand-sitaaron ka parastaar hi kab tha ham doob ga.e jaagti raaton ke bhanwar men haath us ka hamaare li.e patwaar hi kab tha aamon ki haseen rut ke siva bhi to vo kooke lekin kisi koel ka ye kirdaar hi kab tha awaaz jo main doon to kisi aur ko choo le is aankh-micholi se vo bezaar hi kab tha tum us ko bure naam se yaaro na pukaaro ye naam use bais-e-aazaar hi kab tha mashhoor-e-zamaana hain qatil us ki udaanen vo daam-e-mohabbat men girftaar hi kab tha

Qateel Shifai

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.